us chashm-e-mai-gusar ki aahista naghmagi phir shoala-afrin nazar aati hai zindagi us shokh ki nigah mein aayat-e-khamriyat shan-e-rubudgi mein ada-e-supurdagi phir aam ho gain tere jalwon ki nikhaten naghma-taraaz hai tere qamat ki nazuki ye aur baat hai ki mera dil udas hai ab bhi jawan hai us qad-e-rana ki dilbari tu dil-girafta kyon hai abhi rahguzar mein baqi hai naqsh-e-pa ki shafaq-rang raushni garche charagh-e-mimbar-o-mehrab bujh gae hota hai phir bhi dil mein charaghan kabhi kabhi