udasiyon ka karishma tha koi baat na thi ki zat zat ka madfan thi meri zat na thi hamara apna hi ghar tha ise to pahchanen yahan to raat ki tarikiyon mein raat na thi zamana ruth ke meri ana se takraya bas itni baat thi waise ye koi baat na thi jilau mein gham ke thakan sath sath rahti thi wo aa ke dekh hi leta koi baraat na thi ajib baat thi yaran-e-nukta-sanj nahin meri hayat ke daman mein bhi hayat na thi koi bhi samt na thi jab safar pe nikla tha main shash-jihat tha raste mein koi ghat na thi hawa ka jhonka tha main apne bagh mein bhi 'matin' guzar gaya tha to khak-e-chaman bhi sath na thi