tarana-e-gham-e-pinhan hai har khushi apni ki ek dard-e-musalsal hai zindagi apni bahal na jae kahin ye dil-e-khizan-manus bahaar aa ke dikhati hai dilkashi apni kisi ke chehra-e-zeba se us ko kya nisbat yunhi bikhera kare chand chandni apni shuur-e-chaak-e-gareban kidhar hai daman-e-yar junun ki had se mili ja ke aashiqi apni bata ki ye bhi koi shan-e-be-niyazi hai suni na hae koi tu ne guftani apni