tum jalwa dikhao to zara parda-e-dar se hum thak gae nazzara-e-khurshid-o-qamar se majbur-e-numaish nahin kuchh husn hi un ka hum bhi to hain majbur taqaza-e-nazar se bachhda hua jaise koi milte hi lipat jae yun tir tera aa ke lipatta hai jigar se katte nahin kyun sham-e-judai ke ye lamhe milti nahin kyun zulmat-e-shab ja ke sahar se karna hai kisi din use ham-dosh-e-surayya hai aah abhi tak meri mahrum asar se ho jaen hamesha ke liye aap jo mere main mang lun kuchh umr yahan umr-e-khizar se aisa to na kar paega koi bhi fusun-kar wo kar gae jo sadgi-e-husn-e-nazar se aasuda-e-manzil nahin aagah-e-saubat mahrum hai wo lazzat-e-duri-e-safar se