tare ginte raat kaTti hi nahin aati hai nind

tare ginte raat katti hi nahin aati hai nind
dil ko tadpata hai hijr aankhon ko tarsati hai nind

ghar mein aankhon ke qadam rakhne nahin pati hai nind
donon palkon ke tamanche raat-bhar khati hai nind

farsh-e-rahat par mujhe jis waqt yaad aata hai yar
murgh-e-dil aisa phadakta hai ki ud jati hai nind

kaun hai rahat-rasan apna shab-e-andoh mein
maut bhi aankhen churaati hai jo sharmati hai nind

soun kya aankhon ki dhele ho gai hain sang-e-rah
aa ke tere khwab-gah mein thokaren khati hai nind

ain rahat hai mujhe khidmat-guzari yar ke
talwe aankhon se jo sahlata hun aa jati hai nind

din nikal aata hai uthne ko nahin ji chahta
sath jab sota hai wo kya panw phailati hai nind

khwahish-e-didar aankhon mein bhari hai soun kya
putliyon mein apni ja til-bhar nahin pati hai nind

murgh-e-bismil aashiq-e-mahjur dono ek hain
us ko phadkati hai marg aur is ko tadpati hai nind

kaise takiye kaise toshak kaisa hota hai palang
main wo ghafil hun mere ghar aa ke pachhtati hai nind

bhul jata hun main ghaflat mein khayal-e-yar ke
badle rahat ki aziyyat mujh ko pahunchati hai nind

bagh-e-jannat ko yunhi khwab-e-adam dikhlaega
jis tarah ku-e-sanam mujh ko dikha lati hai nind

jab thake us ki sawari daud kar yun soe hum
jaise saudagar ko ghode bech kar aati hai nind

sote sote jab pukar uthta hun apne yar ko
marqadon ke sone walon ki uchat jati hai nind

yar-e-gul-andam ka zanu kahan ye sar kahan
'bahr' main sota hun mujh ko khwab dikhlati hai nind


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close