tarik zindagi ko banane laga hai wo

tarik zindagi ko banane laga hai wo
suraj se raushni ko churane laga hai wo

likh likh ke mere nam aziyyat ke dasht-o-dar
jagir mere gham ki badhane laga hai wo

ehsas ki salib liye chal raha hun main
dasht-e-junun mein shor machane laga hai wo

mujh se hi le ke mere saliqe ki raushni
tahzib ki zaban sikhane laga hai wo

takhliq-e-kaenat ka gar main sabab raha
phir kyun mera waqar ghatane laga hai wo

parwardigar meri shahadat qubul kar
talwar le ke samne aane laga hai wo

'khalid' main us ke hath ki tahrir tha magar
harf-e-ghalat samajh ke mitane laga hai wo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close