use mana kar ghurur us ka badha na dena wo samne aae bhi to us ko sada na dena khulus ko jo khushamadon mein shumar kar len tum aise logon ko tohfatan bhi wafa na dena wo jis ki thokar mein ho sambhalne ka dars shamil tum aise patthar ko raste se hata na dena saza gunahon ki dena us ko zarur lekin wo aadmi hai tum us ki azmat ghata na dena jahan rifaqat ho fitna-pardaz maulwi ki bahisht aisi kisi ko mere khuda na dena 'qatil' mujh ko yahi sikhaya mere nabi ne ki fath pa kar bhi dushmanon ko saza na dena