ye hasin honge mehrban mere baad ande dengi ye murghiyan mere baad main to mar jaunga magar socho kya karengi tumhaari man mere baad khub abhi qahqaha laga lo tum bhon-bhon rooge mehrban mere baad jab na dekhega wo bahaar-e-chaman mar hi jaega baghban mere baad badh gai hai jo aaj kal mere dost khinchi jaegi wo zaban mere baad dekh kar hashr-khez hangame rafu-chakkar hui aman mere baad tum shikam-ser kis tarah hoge kaun patega ye kuan mare baad gul to gul tang aa ke kante bhi denge gulchin ko galiyan mere baad jis mein aksar khulus milta tha ho gai band wo dukan mere baad jahan jhukte hain sar salatin ke hai muqaffal wo aastan mere baad roz udate hain jo man-o-salwa wo chabaenge thurriyan mere baad mere qabil nahin abhi ye hasin ye chalengi dawanniyan mere baad lab-e-shirin ki qadr hai mujh se munh pe bhinkengi makkhiyan mere baad sar-bulandi jinhen nasib hai 'shauq' kal wo khaenge jutiyan mere baad