tark-e-talluqat ka wada nahin kiya wada agar kiya use pura nahin kiya ek kaam tha zaruri zaruri tha ek kaam dil mutmain nahin tha lihaza nahin kiya jaisi mili hai waisi guzari hai zindagi hum ne kahin bhi jhuta dikhawa nahin kiya khud ko kai maqam pe kham to kiya zarur lekin kisi ke ru-ba-ru sajda nahin kiya apni bisat se bhi badha kar ke khwahishat apne dukhon mein aur izafa nahin kiya dhoka kisi ke sath jo karna pada agar wo bhi zaruraton se ziyaada nahin kiya ek bar bargah-e-ilahi mein ki dua phir us se duji bar taqaza nahin kiya jis se bhi hai faqat wo usulon ki jang hai warna kabhi kisi se bhi jhagda nahin kiya rakht-e-safar mein sab ko barabar kiya sharik taqsim-e-zad-e-rah anokha nahin kiya