ye farsh-o-arsh kya hai allah jaanta hai pardon mein kya chhupa hai allah jaanta hai jo bhi bura-bhala hai allah jaanta hai bandon ke dil mein kya hai allah jaanta hai lakh apne dil ka sikka duniya se tu chhupae khota hai ya khara hai allah jaanta hai ja kar jahan se wapas aata nahin hai koi wo baam kaun sa hai allah jaanta hai ye subh-o-sham dekho ye dhup-chhanw dekho sab kyun ye ho raha hai allah jaanta hai neki-badi ko apni kitna hi tu chhupae allah ko pata hai allah jaanta hai qismat ke nam ko sab jaane nahin hain 'akhtar' qismat mein kya likha hai allah jaanta hai