ye aur baat hai har shakhs ke guman mein nahin zamin kahan hai jo aaghosh-e-asman mein nahin ziya-faraaz jahan hain hazar mah-o-nujum charagh koi magar mere aashiyan mein nahin wafur-e-ishq ki nairangiyan are tauba jo dil mein dard hai wo dil ki dastan mein nahin tum apna tir-e-ada meri ruh mein dhundo in abaruon ki lachakti hui kaman mein nahin ye aur baat ki gulshan pe gir pade bijli kami to koshish-e-tanzim-e-gulistan mein nahin jo apni sust-rawi ka ilaj kar na sake maqam us ka koi ahl-e-karwan mein nahin rumuz-e-uqba se ahl-e-zamin hon kya waqif kisi bhi pahlu koi rabt do-jahan mein nahin 'falak' main kaifiyyat-e-dil se khud pareshan hun kisi fughan mein asar hai kisi fughan mein nahin