us shoKH ka humne jo kabhi nam liya hai

us shokh ka hum ne jo kabhi nam liya hai
wo huk uthi hai ki jigar tham liya hai

lahraate hue shama ke shoale ki zaban se
parwanon ne jal jaane ka paigham liya hai

mahfil se teri jab kiya uthne ka irada
nazron ne teri daman-e-dil tham liya hai

ab dekhiye is shauq ka anjam bhi kya ho
saqi se chhalakta hua ek jam liya hai

bichhde hue rindan-e-bala-nosh ke gham mein
ashk aankhon mein bhar aae hain jab jam liya hai

be-wajh nahin aaj ye aankhon mein nami si
ashkon se 'riyaz' aap ne kuchh kaam liya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close