tashhir apne dard ki har su karaiye

tashhir apne dard ki har su karaiye
ji chahta hai minnat-e-tiflan uthaiye

khushbu ka hath tham ke kije talash-e-rang
panw ke naqsh dekh ke rasta banaiye

phir aaj pattharon se mulaqat kijiye
phir aaj sath-e-ab pe chehre banaiye

har inkishaf dard ke parde mein aaega
gar ho sake to khud se bhi khud ko chhupae

phulon ka rasta nahin yaro mera safar
panw aziz hain to abhi lut jaiye

kab tak hina ke nam pe dete rahen lahu
kab tak nigar-e-dard ko dulhan banaiye

'amjad' mata-e-umr zara dekh-bhaal ke
aisa na ho ki baad mein aansu bahaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close