tere dard se jis ko nisbat nahin hai wo rahat musibat hai rahat nahin hai junun-e-mohabbat ka diwana hun main mere sar mein sauda-e-hikmat nahin hai tere gham ki duniya mein ai jaan-e-alam koi ruh mahrum-e-rahat nahin hai mujhe garm-e-nazzara dekha to hans kar wo bole ki is ki ijazat nahin hai jhuki hai tere bar-e-irfan se gardan hamein sar uthane ki fursat nahin hai ye hai un ke ek ru-e-rangin ka partaw bahaar-e-tilism-e-latafat nahin hai tere sarfaroshon mein hai kaun aisa jise dil se shauq-e-shahadat nahin hai taghaful ka shikwa karun un se kyunkar wo kah denge tu be-murawwat nahin hai wo kahte hain shokhi se hum dilruba hain hamein dil nawazi ki aadat nahin hai shahidan-e-gham hain subuk ruh kya kya ki us dil pe bar-e-nadamat nahin hai namuna hai takmil-e-husn-e-sukhan ka guhar bari-e-taba-e-hasrat nahin hai