taskin-e-dil ka ye kya qarina rokun jo nala phat jae sina badhti umangen kya par banengi hai kis hawa mein dil ka safina hain kya muamma ye aag pani pita hun aansu jalta hai sina gham tujh ko pyara tu mujh ko pyari dil ki tamanna nazuk hasina aaj us ne aansu hans hans ke ponchhe khushki mein ubhra duba safina tarikh dil ki khud naqsh-e-dil hai kha kha ke choten chatka nagina tuta hua dil ulfat bhara tha dha kar imarat paya dafina hadd-e-khirad se zat us ki bartar unchi hai manzil nicha hai zina tum 'arzu' ho tum 'arzu' ho phir kaisi ranjish phir kaisa kina