wo hum se ho gaya hai be-khabar kuchh badalte mausamon ka hai asar kuchh kahin sae mein ruk kar kya karenge chalo ab tez baqi hai safar kuchh hawa-e-tund ka ye kaam dekho na chhoda shakh par baqi samar kuchh bhatakte phir rahe hain raston mein basarat se tahi ahl-e-nazar kuchh agarche shahr to apna hai lekin parae se hain kyun diwar-o-dar kuchh abhi dil mein udanon ki hai khwahish salamat hain hamare baal-o-par kuchh abhi 'shahid' lutao gham ki daulat abhi hain aankh mein lal-o-gohar kuchh