tujh ko sochon to tere jism ki khushbu aae meri ghazlon mein alamat ki tarah tu aae main tujhe chhed ke khamosh rahun sab bolen baaton baaton mein koi aisa bhi pahlu aae qarz hai mujh pe bahut raat ki tanhai ka mere kamre mein koi chand na jugnu aae lag ke soi hai koi raat mere sine se subah ho jae ki jazbaat pe qabu aae chahta hun ki meri pyas ka matam yun ho phir na is dasht mein mujh sa koi aahu aae us ka paikar kai qiston mein chhape nowel sa kabhi chehra kabhi aankhen kabhi gesu aae phir mujhe wazn kiya jae shahadat ke liye phir adalat mein koi le ke taraazu aae ab ke mausam mein ye diwar bhi gir jae 'shakil' is tarah jism ki buniyaad mein aansu aae