wahi dagh-e-lala ki baat hai ki ba-nam-e-husn udhar gai koi kya kahe ki kahan kahan tere khal-e-rukh ki khabar gai koi hath dashna-e-jaan-sitan koi hath marham-e-parniyan ye to hath hath ki baat hai koi waqt pa ke sanwar gai wahi ek sud o ziyan ka gham jo mizaj-e-ishq se dur tha wo teri zaban pe bhi aa gaya to lagan hi ji ki bikhar gai kisi ek silsila-e-wafa ki mataa zulf-e-dota nahin koi pech-o-tab-e-hawa mile ki wo zulf ta-ba-kamar gai ye shikayat-e-dar-o-baam kya ye rabaat-e-kohna ki raat kya koi be-charagh shab-e-wafa tere shahr mein bhi guzar gai isi zindagi ke hazar ufuq isi zindagi ke hazar rukh isi ek khayal ki rau thi wo jo teri jabin pe bikhar gai wo hazar shauq ki laghzishen magar ek lazzat-e-narasi meri aashna-e-tarab nazar tere rukh pe aa ke thahar gai kabhi aatish-e-khas-o-khar se bhi gulon ko zauq-e-numu mila kabhi shakh-e-gul se lahak uthi wo sinan jo ta-ba-jigar gai wo zaban-e-sarmad-e-be-dalil wo kharash-e-khanjar-e-hukmaran koi imtihan-e-dalil kya ki dilon mein baat utar gai wo gharib-e-shahr kahe bhi kya jo teri zaban se hai be-khabar magar ek rah-e-sukhan bhi hai ki ye zindagi hai jidhar gai