tere dant sare safed hain pae-zeb pan se mal kar aa nahin dekhe aaj tak abr mein mujhe ab dikhane ko akhtar aa shab-e-wada tu agar aae hai to darang kya hai mere ghar aa ki ye aankhen lag rahi dar se hain shab-e-rashk-e-mah ba-khuda dar aa mere sar pe har ghadi fakhta kare kaam kyunki na arre ka qad-e-dil-ruba ke huzur tu na chaman mein ban ke sanobar aa mere tan se sar ko juda kar ab nahin khun-baha ki mujhe talab ki ye tan ye bar-e-giran hai bas kahin tegh le ke sitamgar aa ye makan hain donon tere liye nahin ghair ka hai yahan guzar jo tu chashm mein nahin aae hai mere dil mein yar sukhnawar aa teri rah dekhun main ta-kuja kahun kis se ye ki khabar hi la mera us se le ke jawab-e-khat kahin jald ud ke kabutar aa ba-juz abr de but-e-baada-kash nahin dil ke waste jae-khush ki ye shisha aur wo taq hai tu 'nasir' ja ke use dhar aa