zarurat be-zarurat bolti hai jahan daulat ho daulat bolti hai mohabbat kar-farma hai hamari tere chehre ki rangat bolti hai parakhne ka zara sa tajraba ho har ek shai apni qimat bolti hai zaban aur aankh donon band rakhna qabile se qayaadat bolti hai ye hota hai jo himmat haar baitho ki badh-chadh kar musibat bolti hai chamakna hai to mere sath aa ja muqaddar se ye mehnat bolti hai tumhaara kab hai jo kuchh hai tumhaara buzurgon ki wasiyyat bolti hai tumhaare pas sab hai main nahin hun sisakti aadamiyat bolti hai