tazim-e-mohabbat hai na takrim-e-wafa hai

tazim-e-mohabbat hai na takrim-e-wafa hai
gul-kari-e-dauran ka faqat nam bada hai

gulzar-e-mohabbat mein wahi phul bana hai
jis ghuncha-e-nau-khez mein isar-o-wafa hai

aaina mukaddar ho to dhundlati hai taswir
shaffaf nigahon mein tahaarat ki ziya hai

har shakhs yahan apni ana mein hai muqayyad
baatil ka wahi zoam wahi kizb-o-riya hai

hum dhund rahe hain jise sawan ki ghata mein
wo qatra-e-sayyal to aankhon mein chhupa hai

yun aankhon se tapke shab-e-dijur mein aansu
daman bhi chamakte hue taron se bhara hai

kahte hain 'jamil' aap ko arbab-e-basirat
ek sada sa insan hai baaton ka khara hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close