yaad aate hain jab ahbab purane mere

yaad aate hain jab ahbab purane mere
karb-e-ehsas se jhuk jate hain shane mere

meri taqdir mein shayad koi tabir nahin
rah gae yun hi dhare khwab suhane mere

wird karta raha main harf-e-sadaqat jin par
mo'atabar hain wahi tasbih ke dane mere

meri shohrat to hai ahbab ki mamnun-e-karam
khub badh badh ke sunate hain fasane mere

bazm-e-aghyar ka mahaul bhi manus laga
har nazar log mile jaane begane mere

sabr ki aanch se patthar bhi pighal jata hai
but bane aaj wo baithe hain sirhane mere

mutmain hun main 'jamil' apni shakebai par
is zamane mein bhi hain hosh thikane mere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close