tere pahlu mein tere dil ke qarin rahna hai meri duniya hai yahi mujh ko yahin rahna hai kaam jo umr-e-rawan ka hai use karne de meri aankhon mein sada tujh ko hasin rahna hai dil ki jagir mein mera bhi koi hissa rakh main bhi tera hun mujhe bhi to kahin rahna hai aasman se koi utra na sahifa na sahi tu mera din hai mujhe sahib-e-din rahna hai jaise sab dekh rahe hain mujhe us tarah na dekh mujh ko aankhon mein nahin dil mein makin rahna hai phul mahkenge yunhi chand yunhi chamkega tere hote hue manzar ko hasin rahna hai main teri saltanat-e-husn ka bashinda hun mujh ko duniya mein kahin aur nahin rahna hai