tera hi zikr harsu tera hi bayan mile kholun koi kitab teri dastan mile duniya ke shor-o-shar se bahut tang aa gae mumkin hai ab teri hi gali aman mile paida to kar bulandiyan apne khayal mein shayad usi zamin pe tujhe aasman mile bas ek bar us se mulaqat kya hui ta-umr apne aap ko phir hum mile mahsus tere qadmon ki ho aahaten jahan un raston pe bikhri hui kahkashan mile dhund to tu kahin bhi dikhai na de mujhe dekhun to zarre zarre mein tu hi nihan mile wo bad-nasib hai jo bhatakte hai dar-ba-dar wo khush-nasib jin ko tera aastan mile