tu ne jise banaya us ko bigad dala ai charkh main ne apni ‘arzi ko phad dala barbaad kya ajal ne mujh ko kiya ye kahiye ruh-e-rawan ne apne daman ko jhad dala dastar-o-pairahan gum aur jeb-o-kisa khali tahzib-e-maghribi ne hum ko chithad dala buniyaad-e-din hawa-e-duniya ne munhadim ki tufan ne shajar ko jad se ukhad dala achchha mila natija mujh ko murasalat ka qasid ko qatl kar ke name ko phad dala