us ne haal-e-dil-e-nashad na dekha na suna aisa zalim sitam-ijad na dekha na suna bol uthe dekh ke wo khana-e-viran mera koi aisa to gham-abaad na dekha na suna tere bismil ko tadapne ki ijazat bhi nahin main ne tujh sa koi jallad na dekha na suna aap ka bhi hai ajab haal ghalat kah utthe aap ne qissa-e-farhad na dekha na suna main jahan jata hun naseh bhi pahunchta hai wahin is tarah ka koi ham-zad na dekha na suna mausam-e-gul mein chhudaya hai chaman bulbul se zulm is tarah ka sayyaad na dekha na suna be-guna lakhon hi maqtal mein hue hae shahid tu ne kuchh bani-e-be-dad na dekha na suna jhut sach jo tera ji chahe kahe ja waiz main ne haal-e-adam-abaad na dekha na suna khana-e-dil mera viran hai jaisa aisa dusra khana-e-barbaad na dekha na suna main to andha tha mohabbat mein kisi ki lekin tu ne bhi ai dil-e-nashad na dekha na suna haal-e-dil us ko sunaya hai 'fahim' aakhir-kar main ne tujh sa koi ustad na dekha na suna