tod kar ahd-e-karam na-ashna ho jaiye banda-parwar jaiye achchha khafa ho jaiye mere uzr-e-jurm par mutlaq na kije iltifat balki pahle se bhi badh kar kaj-ada ho jaiye khatir-e-mahrum ko kar dijiye mahw-e-alam dar-pa-e-iza-e-jaan-e-mubtala ho jaiye rah mein miliye kabhi mujh se to az-rah-e-sitam hont apna kat kar fauran juda ho jaiye gar nigah-e-shauq ko mahw-e-tamasha dekhiye qahr ki nazron se masruf-e-saza ho jaiye meri tahrir-e-nadamat ka na dije kuchh jawab dekh lije aur taghaful-ashna ho jaiye mujh se tanhai mein gar miliye to dije galiyan aur bazm-e-ghair mein jaan-e-haya ho jaiye han yahi meri wafa-e-be-asar ki hai saza aap kuchh is se bhi badh kar pur-jafa ho jaiye ji mein aata hai ki us shokh-e-taghaful-kesh se ab na miliye phir kabhi aur bewafa ho jaiye kawish-e-dard-e-jigar ki lazzaton ko bhul kar mail-e-aram o mushtaq-e-shifa ho jaiye ek bhi arman na rah jae dil-e-mayus mein yani aakhir be-niyaz-e-muddaa ho jaiye bhul kar bhi us sitam-parwar ki phir aae na yaad is qadar begana-e-ahd-e-wafa ho jaiye hae ri be-ikhtiyari ye to sab kuchh ho magar us sarapa naz se kyunkar khafa ho jaiye chahta hai mujh ko tu bhule na bhulun main tujhe tere is tarz-e-taghaful ke fida ho jaiye kashmakash-ha-e-alam se ab ye 'hasrat' ji mein hai chhut ke in jhagdon se mehman-e-qaza ho jaiye