tir chille pe na aana ki khata ho jaana lab tak aate hue shikwe ka dua ho jaana yaad hai us but-e-kafir ka khafa ho jaana aur mera bhul ke mail-ba-dua ho jaana hairat-angez hai naqqash-e-azal ke hathon meri taswir ka taswir-e-fana ho jaana dast-e-taqdir mein shamshir-e-jafa dena hai khud-ba-khud banda-e-taslim-o-raza ho jaana us ki uftad pe khurshid ki rifat qurban jis ko bhaya tera naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana raunaq-e-bazm hai shewan se to shewan hi sahi ham-safiran-e-chaman phir na khafa ho jaana dawar-e-hashr ka insaf ishaare un ke bas yahi hai kisi bande ka khuda ho jaana