tere kuche se na ye sheftagan jate hain jhut kahte hain ki jate hain kahan jate hain aamad-o-raft na puchh apni gali ki hum se aate hain hanste hue karte fughan jate hain kaba o dair mein dekhe hain usi ka jalwa kufr o islam mein kab dida-waran jate hain nahin maqdur ki pahunche koi us tak par hum jun nigah dida-e-mardum se nihan jate hain gar hai didar-talab saf kar apne dil ko ru-ba-ru us ke to aaina-dilan jate hain jazb tera hi agar khinche to pahunchen warna tujh ko sunte hain pare wan se jahan jate hain aah karta hai kharash un ka dilon mein nala kaun ye qafile mein nala-zanan jate hain ji mein hai kahiye ghazal aur muqabil us ke guhar is bahar mein mazmun ke rawan jate hain tujh ko 'bedar' rakha pichhe giran-bari ne rah-rau jo hain subuksar dawan jate hain