TuTi hui kashti pe bipharte hue girdab

tuti hui kashti pe bipharte hue girdab
allah nigahban tera ai dil-e-betab

jo mauj-e-hawadis ke thapedon mein pala ho
moti wahi hota hai jahan mein dur-e-nayab

phir aaj duaon mein ghata mang raha hai
sukhe hue talab mein sahma hua surkhab

ai zor-e-ali faqr-e-abuzar se baromand
be-zor tere samne har rustam-o-suhrab

tiryak ke kuze mein bhara zahr-e-halahil
allah-re mai-khana-e-maghrib ki mai-e-nab

dil todne wale tujhe malum nahin hai
sukhi hui aankhon se ubal padte hain sailab

naghmat se bezar mughanni se gurezan
sazon ko taras jaen na tute hue mizrab

tu apni haqiqat ka shanasa nahin warna
dariya tere daman mein hai ai mahi-e-be-ab

'bazmi' ye jafaon ka sulagta hua sahra
allah rakhe tujh ko zamane mein zafar-yab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close