tilism-e-KHwab bhi aisa ki TuTta hi nahin

tilism-e-khwab bhi aisa ki tutta hi nahin
ghunuda zehn koi baat sochta hi nahin

wo mere dil ki karahen bhi sun raha hai magar
khafa hai mujh se kuchh aisa ki bolta hi nahin

na ban saki dil-e-khud-sar se aaj tak meri
main koi baat kahun meri manta hi nahin

us aadmi ko samajh lo hai zarf se khali
kisi ko apne muqabil jo tolta hi nahin

khud apne ghar jise hasil hai zindagi ka sukun
wo dar-ba-dar ki kabhi khak chhanta hi nahin

tere baghair bhi jina pada to ji lunga
main aisi baat kabhi dil mein sochta hi nahin

tulua hota hai jo matla-e-fasahat se
shuur-o-fikr ka suraj wo dubta hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close