tere khamosh takallum ka sahaara ho jaun tera andaz badal dun tera lahja ho jaun tu mere lams ki tasir se waqif hi nahin tujh ko chhu lun to tere jism ka hissa ho jaun tere honton ke liye hont mere aab-e-hayat aur koi jo chhue zahr ka pyala ho jaun kar diya tere taghaful ne adhura mujh ko ek hichki agar aa jae to pura ho jaun dil ye karta hai ki is umr ki pagdandi par ulte pairon se chalun phir wahi ladka ho jaun apni takmil ka kuchh zaiqa tabdil karun tujh se bichhdun main zara der adhura ho jaun dil ki sohbat mujhe har waqt jawan rakhti hai aql ke sath chala jaun to buddha ho jaun is qadar chikhti rahti hai khamoshi mujh mein shor kanon mein utar jae to bahra ho jaun tere chadhte hue dariya ko pasheman kar dun tujh ko pane ke liye ret ka sahra ho jaun aap hasti ko tere shauq pe qurban karun tu agar tod ke khush ho to khilauna ho jaun