yas-o-gham ranj-o-alam tanhaiyan ab ke baras meri qismat mein rahen nakaamiyan ab ke baras raushni suraj ki aankhon par hai manzar dhup hain lag rahi hain suraten parchhaiyan ab ke baras aaine mein dekh kar khud ko na tum hona udas aainon mein pad gain hain jhaiyan ab ke baras dekhna hoga sitam ye bhi zaban-bandi ke baad kat li jaengi sab ki ungliyan ab ke baras khushk-sali to nahin hai shahr mein 'mahwar' magar abr kab barsaenge allah-miyan ab ke baras