tu nahin hai to tere hamnam se rishta rakkha hum ne yun bhi dil-e-nakaam ko zinda rakkha wo mari jaan ka dushman ki sar-e-nahr-e-visal sab ko sairab kiya bas mujhe pyasa rakkha mere maula teri mantiq bhi ajab mantiq hai hont pe pyas rakhi aankh mein dariya rakkha sab ke hathon ki lakiron mein muqaddar rakh ke rakhne wale ne mere hath pe sahra rakkha sab ke sab lut rahe the teri daulat rani main ne to sirf tere shahr ka naqsha rakkha jis bulandi pe 'raza' main ne sajae tamghe us bulandi pe hi tuta hua kasa rakkha