tere milne ka aaKHiri imkan

tere milne ka aakhiri imkan
jaise mujh mein hai ek nakhlistan

ghar mein lagta nahin hai ji mera
dasht mein rah gaya mera saman

ret mein sipiyan mili hain mujhe
kya samundar tha pahle registan

laute shayad isi bahane wo
rakh liya main ne us ka kuchh saman

tu tere ird-gird hi hai kahin
har taraf dhundh har jagah ko chhan

dur tak koi bhi nahin dil mein
aakhiri shahr bhi mila viran

kis ne phunki hai jism mein sansen
kis ne chhedi hai zindagi ki tan

khak ho jaega badan 'atish'
honge ek din dhuan ye jism o jaan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close