yakayak aks dhundlane lage hain nazar mein aaine aane lage hain zamin hai muntazir fasl-e-ziya ki falak par nur ke dane lage hain khizan aane se pahle banch lena darakhton par jo afsane lage hain hamein is tarah hi hona tha aabaad hamare sath virane lage hain fasil-e-dil gira to dun main lekin isi diwar se shane lage hain kabhi faqa-kashi dikhlaegi rang isi mein solahon aane lage hain