tere shabab ka kuchh kuchh nikhaar baqi hai bahaar ja chuki rang-e-bahaar baqi hai wo dhal chuke hain magar un se pyar baqi hai kabhi jo pi thi usi ka khumar baqi hai ba-shakl-e-gul gham-e-jaanan to ho gaya rukhsat khizan ki tarah gham-e-rozgar baqi hai jo mere dil pe lagaya tha zakhm yaron ne gae wo yar magar naqsh-e-yar baqi hai abhi se chhod ke gulshan wo ja rahe hain kahan abhi to raunaq-e-fasl-e-bahaar baqi hai na mai-kada hai na wo shaghl-e-mai na wo saqi bas ek zindagi-e-nagawar baqi hai ba-rah-e-dasht koi qafila guzar to gaya magar faza mein abhi tak ghubar baqi hai jahan shabab mein ulfat ke khel khele the wo din guzar gae lekin dayar baqi hai tamam aasare ek ek kar ke tut gae umid-e-rahmat-e-parwardigar baqi hai wo bazm-e-naz kahan aur kahan wo jazba-e-shauq ab ek apna dil-e-sogwar baqi hai gae wo din ki mohabbat thi bhai-chaara tha 'musawwir' ab to faqat intishaar baqi hai