tumhein mil kar bhi aksar dil ke arman dil mein rahte hain tumhaare chahne wale badi mushkil mein rahte hain use nashad karne ka use barbaad karne ka gila hai to unhin se hai jo mere dil mein rahte hain razakaran-e-ulfat maut se hargiz nahin darte hamein dekho ki har dam kucha-e-qatil mein rahte hain junun ki kham-kari chain lene hi nahin deti hum un ko dhundte hain jo hamare dil mein rahte hain talash-e-yar ki fursat agar hogi to kar lenge abhi to raat din hum justuju-e-dil mein rahte hain kabhi to ghaur kar len qissa-e-khizr-o-sikandar par wo rahraw jo talash-e-rahbar-e-kaamil mein rahte hain hamin ko ai khuda kuchh ho gaya hai ya zamane ko hamare hi gile-shikwe har ek mahfil mein rahte hain dil-e-bimar ki haalat na badli hai na badlegi hamare chaaragar kyon sai-e-la-hasil mein rahte hain dil-e-nadan ki aadat se bahut bezar hun 'sahir' ye hazrat har-ghadi ek fikr-e-la-hasil mein rahte hain