tere siwa meri hasti koi jahan mein nahin ye raaz fash hai han se nahin main han mein nahin jo la-makan hai muqayyad kisi makan mein nahin tayyunat nishan mein hain be nishan mein nahin sifat jalwa-gah-e-zat hai tajalli-e-husn ye jism jalwa-gah-e-jaan hai nur-e-jaan mein nahin zaban-e-haal se hai kaif-e-be-khudi goya ye wo zamin hai ki jis ka nishan zaman mein nahin farogh-e-hasti-e-mutlaq hai jalwa-e-pindar hijab-e-hasti-e-mauhum darmiyan mein nahin nishan yaqin ka do-alam mein qalb-e-sakin hai qarar wahm mein aasudgi guman mein nahin meri fasurda-dili ne nae khilae hain gul nahin ki mausam-e-gul mausam-e-khizan mein nahin main nang-e-dehli hun nang-e-sukhan-waran 'sahir' asatiza ki zaban kya karun dahan mein nahin