ye jo subh ke bich diwar-e-shab si uthi lagti hai hai aks-e-tahayyur ki ye dastan aur suni lagti hai jo main khwahishon mein ghiri chup bhari saaten takti hun mujhe un ke andar talak teri khwahish gadi lagti hai tera wird karti hui aasman se utarti hui koi nur jaisi dua chaar-su gunjti lagti hai mere aaine mein jo taswir teri ubhar aai hai ye jhutlane se faeda? mujh ko ye raushni lagti hai faqat mere chehre pe hi rang khil ke nahin utre hain shafaq sham ki meri aaankhon se bhi jhankti lagti hai