tere visal ka din bhi guzarne wala hai yahan pe kaun sa manzar thaharne wala hai main roz khwab mein ab dekhta hun talwaren mujhe zarur koi qatl karne wala hai kai taraf se idhar tir aate rahte hain kahan hamara koi zakhm bharne wala hai wo ek shakhs jo dariya se badh ke hai gahra koi ab us ki bhi tah mein utarne wala hai tumhaara jina bhi kis kaam ka hai ai 'saqib' yahan pe kaun bhala tum pe marne wala hai