tiron mein aur talwaron mein kya rakkha hai aapas ki in paikaron mein kya rakkha hai aai hai ek budhiya phir se sut sanbhaale jaane ab in bazaron mein kya rakkha hai ghar ko jab ghar ki surat hi mil na saki ho phir in pukhta diwaron mein kya rakkha hai husn bahut hai jangal mein bhi wadi mein bhi yahan bhala in gulzaron mein kya rakkha hai bas jhuti-muti khabren chhapti rahti hain aur bhala in akhbaron mein kya rakkha hai 'saqib' jab buniyaad hi sari kachchi ho to mazduron aur meamaron mein kya rakkha hai