teri anjuman mein aae tere pyar tak na pahunche use kya kahun chaman mein jo bahaar tak na pahunche jise aa gaya hai jina use mil gaya gulistan wo bahaar gul ko tarse ki jo khar tak na pahunche ai mughanni-e-zamana tere naghme khub lekin kabhi azmat-e-sada-e-lab-e-yar tak na pahunche wo na pa sake jahan mein kabhi zindagi ka hasil jo dayar-e-rang-o-bu mein gham-e-yar tak na pahunche koi chal basa jahan se yahi kahte kahte aakhir tumhein pas-e-husn itna ki pukar tak na pahunche mujhe har alam gawara rah-e-ishq mein hai lekin kabhi gham ki dhup ya-rab mere yar tak na pahunche ye ajib munsifi hai ye ajib hai zamana jo khata kare jahan mein wahi dar tak na pahunche mere pyar ki hadon mein hai tamam shai chaman ki wo lahu bhi kya lahu hai jo ki khar tak na pahunche