wo shakhs ban gaya meri khu-e-hayat kyon us mein dikhai deti hai ye kaenat kyon jab hath chumne ki meri iltija suni yun muskura ke kahne lage sirf hath kyon puchha agar ho izn to ek baat main kahun to bole muskura ke wo bas ek baat kyon shokhi to dekhiye ki mujhe qatl kar ke bhi naraaz is pe hain ki ganwai hayat kyon