teri jhalak nigah ke har zawiye mein hai dekhun to shakl apni mere aaine mein hai latki hui hai ruh ki suli pe zindagi sanson ka silsila hai ki rassi gale mein hai kanton ki pyas ne mujhe khincha barahna-pa jaise bhari sabil har ek aable mein hai sanson ki ot le ke chala hun charagh-e-dil sine mein jo nahin wo ghutan raste mein hai meri sada ke phul chadhate hain mujh pe log zinda to hun magar mera fan maqbare mein hai dalon kahan padaw ki raste bhi hain rawan manzil kahan mile ki wo khud qafile mein hai main tujh ko chahta hun go hasil na kar sakun lazzat wo qurb mein kahan jo fasle mein hai paya sila ye tujh ko 'muzaffar' ne dhundh kar shamil ab us ka nam bhi tere pate mein hai