is qadar musalsal thin shiddaten judai ki aaj pahli bar us se main ne bewafai ki warna ab talak yun tha khwahishon ki barish mein ya to tut kar roya ya ghazal-sarai ki taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat mein aaj un se majburan taza aashnai ki ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se tu ne kis ghadi zalim meri ham-nawai ki tark kar chuke qasid ku-e-na-muradan ko kaun ab khabar lawe shahr-e-ashnai ki tanz o tana o tohmat sab hunar hain naseh ke aap se koi puchhe hum ne kya burai ki phir qafas mein shor uttha qaidiyon ka aur sayyaad dekhna uda dega phir khabar rihai ki dukh hua jab us dar par kal 'faraaz' ko dekha lakh aib the us mein khu na thi gadai ki