teri madad se tera idrak ho sake hai warna is aadmi se kiya khak ho sake hai tu hi samajh samajh kar kar de maf hum ko tera hisab hum se kab pak ho sake hai khatra nahin kisi ka jo chahe kar sake hai tujh sa koi jahan mein bebak ho sake hai rone ko mere jaldi tuk dekh khol aankhen ab tak hai chashm meri namnak ho sake hai lakhon ka dil jalaya lakhon ka ji khapaya tujh se koi ziyaada saffak ho sake hai wo jald dastiyon ke jate rahe zamane ab hath se gareban kab chaak ho sake hai jo kuchh sharab mein hain kaifiyyaten nashe ki tujh mein maza ye koi tiryak ho sake hai us mah-ru ko baham kar de 'hasan' se ek shab gardish se teri itna aflak ho sake hai