zikr kis ka hai sar-e-dar tumhein kya malum kyon pasheman hain gunahgar tumhein kya malum dosto ishq ka aazar tumhein kya malum khud masiha bhi hai bimar tumhein kya malum tum abhi fikr ki rahon se kahan guzre ho log ghafil hain ki hushiyar tumhein kya malum ahl-e-ghairat ke liye aag bhi ho sakta hai asar-e-saya-e-diwar tumhein kya malum banda-e-ishq jise kahti hai duniya 'anjum' wo khud apna hai parastar tumhein kya malum