wo sard dhup ret samundar kahan gaya yaadon ke qafile se december kahan gaya kutiya mein rah raha tha kai sal se jo shakhs tha ishq nam jis ka qalandar kahan gaya tufan tham gaya tha zara der mein magar ab sochti hun dil se guzar kar kahan gaya teri gali ki mujh ko nishani thi yaad par diwar to wahin hai tera dar kahan gaya chae ke talkh ghunt se uthta hua ghubar wo intizar-e-sham wo manzar kahan gaya us ki siyah rang se nisbat ajib thi wo khush-libas hijr pahan kar kahan gaya rakkha nahin tha lauh-e-mohabbat pe aaj phul kis baat par khafa tha mujawir kahan gaya