yun mere pas se ho kar na guzar jaana tha bol ai shakhs tujhe kaun nagar jaana tha ruh aur jism jahannam ki tarah jalte hain us se ruthe the to is aag ko mar jaana tha rah mein chhanw mili thi ki thahar sakte the is sahaare ko magar nang-e-safar jaana tha khwab tute the ki aankhon mein sitare nache sab ko daman ke andhere mein utar jaana tha hadsa ye hai ki hum jaan na moattar kar pae wo to khush-bu tha use yun bhi bikhar jaana tha